Pyorrhea: Janiye Daant Rog ke Lakshan aur Savdhani

Daanto ki sahi tarike se agar dekhbhal na ki jaye to pyorrhea ho sakta hai. Daanto ko sehat aur sundarta ka ayna mana jata hai. Lekin khane ke baad muh ki saaf-safai na karne se daanto mai kai prakar ki bimariya shuru ho jati hai. Pyorrhea ko Periodontitis ke naam se bhi jana jata hai.

Daanto ki saaf safai mai kami ke karan jo bimari sabse jyada jaldi hota hai wah hai pyorrhea. Saanso ki badbu, masude mai khoon aur dusri tarah ki kai pareshaniya Pyorrhea Symptoms hai. Daanto ki saaf safai  na karne ke karan yeh ek samanya bimari hai. Iske karan asamay daant gir sakte hai aur Daant Dard ho sakte hai.

Pyorrhea Kyo Hota Hai??

Darasal muh mai lagbhag 700 kism ke bacteria hote hai, jinki sankhya karodo mai hoti hai. Yahi bacteria daanto aur muh ko bimariyo se bachate hai. Agar muh, daant aur jibh ki safai thik se na ki jaye to yeh bacteria daanto aur masudo ko nuksaan pahuchahte hai.

You may also like:- Home Remedies for Tooth Pain in Hindi: Daanto Ka Ilaj ab Ghar

Pyorrhea sharir mai calcium ki kami hone se masudo ki kharabi aur daant muh ki saaf safai mai kotahi baratne se hota hai. Iss rog mai amsude pilepile aur kharab ho jate hai aur unse khoon aata hai. Saanso ki badbu ki wajah bhi pyorrhea ko hi mana jata hai.

Pyorrhea Symptoms-Precautions

Pyorrhea Symptoms in Hindi: Janiye Iske Mukhya Lakshan

Pyorrhea hone par saanso mai tez durgandh shuru ho jati hai. Mashude mai sujan hone lagti hai. Daant kamjor hokar hilne lagte hai. Garm aur jyada thanda pani pine par daant sanvedanshil ho jatehai aur log use bardasth nahi kar pate hai.

Pyorrhea hone par masudo se mavad aana shuru ho jata hai. Masude ko dabane mai chhune par darad hota hai. Pyorrhea ki shikayat hone par masudo se khoon nikalne lagta hai. 2 Daanto ke bich ki jagah badh jati hai, daanto mai gap hone lagti hai.

Pyorrhea se Bachne ke Liye Savdhani

Khane ke baad muh ki andruni saaf safai ka vishesh dhyan rakhe. Brush karte samay daanto ko acchi tarah se aur aaram se saaf kare. Tongue cleaner se jibh ko acchi tarah  saaf kare. Daanto ki safai ke liye kathor brush ki bajay komal brush ka istemaal kare.

You may also like:- Debridement: Daanto ko Chamkane Mai Hai Madadgar

Raat mai dinner karne ke baad sone se pehle bhi brush kare. Brush karte samay dhyan rakhiye ki khane ka koi tukda daanto ki bich fasa to nahi hai. Kuch bhi khane ke baad agar brush nahi kar sakte hai to pani se daanto ki safai kar leni chahiye. Acche daant sehat aur sundarta ki nishani hoti hai. Isliye apne daanto ka khayal jarur rakhe.

Pyorrhea ka agar samay par ilaj na karaya jaye to daant dhile hokar gir jate hai. Pyorrhea ka ilaj badi aasani se ho sakta hai. Pyorrhea ki samasya hone par jald se jald chikitsak se sampark karna chahiye.

To aaj hi inn Pyorrhea Symptoms ko dhyan mai rakhkar apna ilaj jald se jald karwaye taki aap swasth aur khushaal reh sake.

Loading...

You may also like...